Junun Ka Daur Hai Kis Kis Ko Jaen Samjhane
junun ka daur hai kis kis ko jaen samjhane
udhar bhi hosh ke dushman idhar bhi diwane
karam karam hai to hai faiz-e-am is ka shiar
ye dasht hai wo gulistan sahab kya jaane
kisi mein dam nahin ahl-e-sitam se kuchh bhi kahe
sitam-zadon ko har ek aa raha hai samjhane
bashar ke zauq-e-parastish ne KHud kiye taKHliq
KHuda-o-kaba kahin aur kahin sanam-KHane
ulajh ke rah gai husn-e-naqab mein jo nazar
wo husn-e-jalwa-e-zer-e-naqab kya jaane
is irtiqa-e-tamaddun ko kya kahun 'mulla'
hain shamen shoKH-tar aawara-tar hain parwane
(805) Peoples Rate This