Jab Dil Mein Zara Bhi Aas Na Ho Izhaar-e-tamanna Kaun Kare
jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare
arman kiye dil hi mein fana arman ko ruswa kaun kare
KHali hai mera saghar to rahe saqi ko ishaara kaun kare
KHuddari-e-sail bhi to hai kuchh har bar taqaza kaun kare
jab apna dil KHud le Dube auron pe sahaara kaun kare
kashti pe bharosa jab na raha tinkon pe bharosa kaun kare
aadab-e-mohabbat mein bhi ajab do dil milne ko raazi hain
lekin ye takalluf hail hai pahla wo ishaara kaun kare
dil teri jafa se TuT chuka ab chashm-e-karam aai bhi to kya
phir le ke isi TuTe dil ko ummid dobara kaun kare
jab dil tha shagufta gul ki tarah Tahni kanTa si chubhti thi
ab ek fasurda dil le kar gulshan ki tamanna kaun kare
basne do nasheman ko apne phir hum bhi karenge sair-e-chaman
jab tak ki nasheman ujDa hai phulon ka nazara kaun kare
ek dard hai apne dil mein bhi hum chup hain duniya na-waqif
auron ki tarah dohra dohra kar us ko fasana kaun kare
kashti maujon mein Dali hai marna hai yahin jina hai yahin
ab tufanon se ghabra kar sahil ka irada kaun kare
'mulla' ka gala tak baiTh gaya bahri duniya ne kuchh na suna
jab sunne wala ho aisa rah rah ke pukara kaun kare
(904) Peoples Rate This