Jaan-e-afsana Yahi Kuchh Bhi Ho Afsane Ka Nam

jaan-e-afsana yahi kuchh bhi ho afsane ka nam

zindagi hai dil ki dhaDkan tez ho jaane ka nam

qatra qatra zindagi ke zahr ka pina hai gham

aur KHushi hai do ghaDi pi kar bahak jaane ka nam

aaj tu kal koi aur hoga sadr-e-bazm-e-mai

saqiya tujh se nahin hum se hai mai-KHane ka nam

intizar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon ka nur

aur bahaar-e-bagh leti hi nahin aane ka nam

tab-e-nakaami nahin to aarzu karta hai kya

saqiya tujh se nahin hum se hai mai-KHane ka nam

waqif-e-'mulla' na thi bazm-e-KHirad ye tai hua

ho na ho ye hai kisi mashhur diwane ka nam

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan-e-afsana Yahi Kuchh Bhi Ho Afsane Ka Nam In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Jaan-e-afsana Yahi Kuchh Bhi Ho Afsane Ka Nam is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Jaan-e-afsana Yahi Kuchh Bhi Ho Afsane Ka Nam for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Jaan-e-afsana Yahi Kuchh Bhi Ho Afsane Ka Nam in PDF.