Farq Jo Kuchh Hai Wo Mutrib Mein Hai Aur Saz Mein Hai

farq jo kuchh hai wo mutrib mein hai aur saz mein hai

warna naghma wahi har parda-e-awaz mein hai

tarjuman-e-gham-e-dil kaun hai ashkon ke siwa

ek yahi tar-e-shikasta to mere saz mein hai

murgh-e-azad asiron ko hiqarat se na dekh

in ki taqat bhi tere bazu-e-parwaz mein hai

ek le de ke tamanna hai so wo bhi nakaam

dil mein kya hai jo teri jalwa-gah-e-naz mein hai

dil ko diwana samajh kar na bahut chheDo tum

kahin kuchh kah na uThe ye haram-e-raaz mein hai

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Farq Jo Kuchh Hai Wo Mutrib Mein Hai Aur Saz Mein Hai In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Farq Jo Kuchh Hai Wo Mutrib Mein Hai Aur Saz Mein Hai is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Farq Jo Kuchh Hai Wo Mutrib Mein Hai Aur Saz Mein Hai for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Farq Jo Kuchh Hai Wo Mutrib Mein Hai Aur Saz Mein Hai in PDF.