Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e7b2bcc0f83c9d47b069eda72639c7d9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chhup Ke Duniya Se Sawad-e-dil-e-KHamosh Mein Aa - Anand Narayan Mulla Poetry In English - Darsaal

Chhup Ke Duniya Se Sawad-e-dil-e-KHamosh Mein Aa

chhup ke duniya se sawad-e-dil-e-KHamosh mein aa

aa yahan tu meri tarsi hui aaghosh mein aa

aur duniya mein kahin tera Thikana hi nahin

ai mere dil ki tamanna lab-e-KHamosh mein aa

mai-e-rangin pas-e-mina se ishaare kab tak

ek din saghar-e-rindan-e-bala-nosh mein aa

ishq karta hai to phir ishq ki tauhin na kar

ya to behosh na ho ho to na phir hosh mein aa

tu badal de na kahin jauhar-e-insan ka bhi rang

ai zamane ke lahu dekh na yun josh mein aa

dekh kya dam lagati hai nigah-e-'mulla'

kabhi ai ghuncha-e-tar dast-e-gul-afrosh mein aa

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhup Ke Duniya Se Sawad-e-dil-e-KHamosh Mein Aa In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Chhup Ke Duniya Se Sawad-e-dil-e-KHamosh Mein Aa is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Chhup Ke Duniya Se Sawad-e-dil-e-KHamosh Mein Aa for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Chhup Ke Duniya Se Sawad-e-dil-e-KHamosh Mein Aa in PDF.