Bhule Se Bhi Lab Par SuKHan Apna Nahin Aata
bhule se bhi lab par suKHan apna nahin aata
han han mujhe duniya mein panapna nahin aata
dil ko sar-e-ulfat bhi hai ruswai ka Dar bhi
us ko abhi is aanch mein tapna nahin aata
ye ashk-e-musalsal hain mahaz ashk-e-musalsal
han nam tumhaara mujhe japna nahin aata
tum apne kaleje pe zara hath to rakkho
kyun ab bhi kahoge ki taDapna nahin aata
mai-KHane mein kuchh pi chuke kuchh jam-ba-kaf hain
saghar nahin aata hai to apna nahin aata
zahid se KHataon mein to niklunga na kuchh kam
han mujh ko KHataon pe panapna nahin aata
bhule the unhin ke liye duniya ko kabhi hum
ab yaad jinhen nam bhi apna nahin aata
dukh jata hai jab dil to ubal paDte hain aansu
'mulla' ko dikhane ka taDapna nahin aata
(813) Peoples Rate This