Bashar Ko Mashal-e-iman Se Aagahi Na Mili
bashar ko mashal-e-iman se aagahi na mili
dhuan wo tha ki nigahon ko raushni na mili
KHushi ki marifat aur gham ki aagahi na mili
jise jahan mein mohabbat ki zindagi na mili
jigar na tha ki koi phans si chubhi na mili
jahan ki KHak uDai kahin KHushi na mili
ye kah ke aaKHir-e-shab shama ho gai KHamosh
kisi ki zindagi lene se zindagi na mili
labon pe phail gai ek mauj-e-gham akasr
bichhaD ke tujh se hansi ki tarah hansi na mili
tawaf-e-shama patangon ka jal ke bhi hai wahi
jigar ki aag se aankhon ko raushni na mili
sabaat pa na sakega koi nizam-e-chaman
fasurda ghunchon ko jis mein shaguftagi na mili
falak ke taron se kya dur hogi zulmat-e-shab
jab apne ghar ke charaghon se raushni na mili
abhi shabab hai kar lun KHataen ji bhar ke
phir is maqam pe umr-e-rawan mili na mili
wo qafile ki falak jin ke panw ka tha ghubar
rah-e-hayat se bhaTke to gard bhi na mili
wo tira-baKHt haqiqat mein hai jise 'mulla'
kisi nigah ke sae ki chandni na mili
(718) Peoples Rate This