Arman Ko Chhupane Se Musibat Mein Hai Jaan Aur
arman ko chhupane se musibat mein hai jaan aur
shoale ko dabaate hain to uThta hai dhuan aur
inkar kiye jao isi taur se han aur
honTon pe hai kuchh aur nigahon se ayan aur
KHud tu ne baDhai hai ye tafriq-e-jahan aur
tu ek magar rup yahan aur wahan aur
dil mein koi ghuncha kabhi khilte nahin dekha
is bagh mein kya aa ke bana legi KHizan aur
itna bhi mere ahd-e-wafa par na karo shak
han han main samajhta hun ki hai rasm-e-jahan aur
har lab pe tera nam hai ek main hun ki chup hun
duniya ki zaban aur hai aashiq ki zaban aur
ab koi sada meri sada par nahin deta
aawaz-e-tarab aur thi aawaz-e-fughan aur
kuchh dur pe milti hain haden arz-o-sama ki
sahra-e-talab mein nahin manzil ka nishan aur
ek aah aur ek ashk pe hai qissa-e-dil KHatm
rakhti nahin alfaz-e-mohabbat ki zaban aur
wo subh ke tare ki jhapakne si lagi aankh
kuchh der zara dida-e-anjum-nigaran aur
'mulla' wahi tum aur wahi ku-e-hasinan
jaise kabhi duniya mein na tha koi jawan aur
(759) Peoples Rate This