Hallucination
main apne band kamre mein paDa hun
aur ek diwar par nazren jamae
manazir ke ajube dekhta hun
usi diwar mein koi KHala hai
mujhe jo ghaar jaisa lag raha hai
wahan makDi ne jal bun liya hai
aur ab apne hi jal mein phansi hai
wahin par ek murda chhipkili hai
kai sadiyon se jo sakit paDi hai
ab us par kai jamti ja rahi hai
aur us mein ek jangal dikh raha hai
daraKHton se parinde gir rahe hain
kulhaDi shaKH par laTki hui hai
lakaDhaare pe gidaD hans rahe
musalsal tez barish ho rahi hai
kisi patte se gir kar ek qatra
achanak ek samundar ban gaya hai
samundar naw se laDne laga hai
machhera machhliyon mein ghir gaya hai
aur ab patwar sine se laga kar
wo nile aasman ko dekhta hai
jo yak-dam zard paDta ja raha hai
wo kaise ret banta ja raha hai
mujhe ab sirf sahra dikh raha hai
aur us mein dhum ki chadar bichhi hai
magar wo ek jagah se phaT rahi hai
wahan par ek saya nachta hai
jahan bhi pair dharta hai wahan par
sunahre phul khilte ja rahe hai
ye sahra bagh banta ja raha hai
aur us mein titliyan dikhti hain
paron mein jin ke nili raushni hai
wo har pal tez hoti ja rahi hai
so meri aankh mein chubhne lagi hai
so main ne hath aankhon par rakhe hain
aur ab ungli haTa kar dekhta hun
ki apne band kamre mein paDa hun
aur ek diwar ke aage khaDa hun
(2566) Peoples Rate This