Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ebfbacb604c7bdf69298c437d2f2c2b8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zara Si Der Jale Jal Ke Rakh Ho Jae - Ammar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Zara Si Der Jale Jal Ke Rakh Ho Jae

zara si der jale jal ke rakh ho jae

wo raushni de bhale jal ke rakh ho jae

wo aaftab jise sab salam karte hain

jo waqt par na Dhale jal ke rakh ho jae

main dur ja ke kahin bansuri bajaunga

bala se rome jale jal ke rakh ho jae

wo ek lams-e-gurezan hai aatish-e-be-soz

mujhe lagae gale jal ke rakh ho jae

koi charagh bache subh tak to tariki

usi charag-tale jal ke rakh ho jae

(2657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Si Der Jale Jal Ke Rakh Ho Jae In English By Famous Poet Ammar Iqbal. Zara Si Der Jale Jal Ke Rakh Ho Jae is written by Ammar Iqbal. Read famous Poem Zara Si Der Jale Jal Ke Rakh Ho Jae for youth and Student by Ammar Iqbal. Free Download Zara Si Der Jale Jal Ke Rakh Ho Jae in PDF.