Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d8507735a693973afe5c741e2ffb759b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tirgi Taq Mein JaDi Hui Hai - Ammar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Tirgi Taq Mein JaDi Hui Hai

tirgi taq mein jaDi hui hai

dhup dahliz par paDi hui hai

dil pe nakaamiyon ke hain paiwand

aas ki soi bhi gaDi hui hai

mere jaisi hai meri parchhain

dhup mein pal ke ye baDi hui hai

gher rakkha hai na-rasai ne

aur KHwahish wahin khaDi hui hai

main ne taswir phenk di hai magar

kil diwar mein gaDi hui hai

haarta bhi nahin gham-e-dauran

zid pe ummid bhi aDi hui hai

dil kisi ke KHayal mein hai gum

raat ko KHwab ki paDi hui hai

(1899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tirgi Taq Mein JaDi Hui Hai In English By Famous Poet Ammar Iqbal. Tirgi Taq Mein JaDi Hui Hai is written by Ammar Iqbal. Read famous Poem Tirgi Taq Mein JaDi Hui Hai for youth and Student by Ammar Iqbal. Free Download Tirgi Taq Mein JaDi Hui Hai in PDF.