Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_30289f0be8b271fa621fffba88a0b6eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pahle Hamari Aankh Mein Binai Aai Thi - Ammar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Pahle Hamari Aankh Mein Binai Aai Thi

pahle hamari aankh mein binai aai thi

phir is ke baad quwwat-e-goyai aai thi

main apni KHastagi se hua aur paedar

meri thakan se mujh mein tawanai aai thi

dil aaj sham se hi use DhunDne laga

kal jis ke baad kamre mein tanhai aai thi

wo kis ki naghmagi thi jo daron saron mein thi

rangon mein kis ke rang se ranai aai thi

phir yun hua ki us ko tamannai kar liya

meri taraf jo chashm-e-tamashai aai thi

(1870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle Hamari Aankh Mein Binai Aai Thi In English By Famous Poet Ammar Iqbal. Pahle Hamari Aankh Mein Binai Aai Thi is written by Ammar Iqbal. Read famous Poem Pahle Hamari Aankh Mein Binai Aai Thi for youth and Student by Ammar Iqbal. Free Download Pahle Hamari Aankh Mein Binai Aai Thi in PDF.