UTh
uTh ki KHurshid aasman par jalwa-afshan ho gaya
uTh ki goya teri bedari ka saman ho gaya
uTh ki pahuncha chahte hain ghair manzil ke qarib
tu badalta hai abhi tak karwaTen ai bad-nasib
uTh ki jidd-o-jahd se ho teri hasti kaamyab
KHwab aaKHir KHwab hai kab tak rahega mahw-e-KHwab
uTh ki duniya ko tere zauq-e-talab se kaam hai
zindagi kya hai faqat sai-e-amal ka nam hai
uTh ki be-raunaq nazar aata hai ab sahn-e-chaman
bulbul-o-tuti pe sabqat le gae zagh-o-zaghan
uTh ki jina hai to qanun-e-KHuda par ghaur kar
laisa-lil-insan-illa-ma-saa par ghaur kar
uTh ki duniya tak rahi hai pai-ba-pai teri taraf
dekh chashm-e-ghaur se ek bar tu apni taraf
uTh ki tere hath mein iqan ki shamshir hai
tu agar chahe to ye duniya tera naKHchir hai
uTh ki be-zauq-e-amal ye tegh bhi be-kar hai
to bhi teri zindagi bhi naqsh-bar-diwar hai
(837) Peoples Rate This