Tabassum
chamak hire se baDh kar ai tabassum tujh mein pinhan hai
unhin honTon pe zau bikhra tu jin honTon ko shayan hai
misal-e-barq tu girta hai jaan-e-na-shakeba par
giri thi jis tarah bijli kalim-e-tur-e-sina par
na hoga lal koi teri qimat ka badaKHshan mein
tu hi ek misra-e-barjasta hai qudrat ke diwan mein
jahan ki daulaton mein koi bhi daulat nahin aisi
falak par kab chamakti hai sitaron ki jabin aisi
gham-e-duniya ka shaki jab hua haq se dil-e-adam
tujhe de kar ata farma diya har zaKHm ka marham
hua jata hai pazhmurda dil-e-awara sine mein
to Tapka qatra-e-ab-e-baqa is aabgine mein
jhalak pal-bhar ki hai lekin asar hai daimi tera
sar-e-gulzar dam bharti hai goya har kali tera
lab-e-jaan-baKHsh par kuchh kuchh numayan ho ke rah ja phir
adhuri rah gai hai dastan-e-ishq kah ja phir
(954) Peoples Rate This