Tum Jalwa Dikhao To Zara Parda-e-dar Se
tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se
hum thak gae nazzara-e-KHurshid-o-qamar se
majbur-e-numaish nahin kuchh husn hi un ka
hum bhi to hain majbur taqaza-e-nazar se
bachhDa hua jaise koi milte hi lipaT jae
yun tir tera aa ke lipaTta hai jigar se
kaTte nahin kyun sham-e-judai ke ye lamhe
milti nahin kyun zulmat-e-shab ja ke sahar se
karna hai kisi din use ham-dosh-e-surayya
hai aah abhi tak meri mahrum asar se
ho jaen hamesha ke liye aap jo mere
main mang lun kuchh umr yahan umr-e-KHizar se
aisa to na kar paega koi bhi fusun-kar
wo kar gae jo sadgi-e-husn-e-nazar se
aasuda-e-manzil nahin aagah-e-saubat
mahrum hai wo lazzat-e-duri-e-safar se
(787) Peoples Rate This