Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f7fdd9a0c736f83aa4389d87701a737c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Soz Hai Dil Ke Dagh Mein Ab Tak - Amjad Najmi Poetry In English - Darsaal

Soz Hai Dil Ke Dagh Mein Ab Tak

soz hai dil ke dagh mein ab tak

raushni hai charagh mein ab tak

zulf-e-mushkin thi mehrban kis ki

bu basi hai dimagh mein ab tak

tishna-kaamon ko is se kya hasil

mai dhari hai ayagh mein ab tak

hae aawargi-e-baad-e-saba

hai ye kis ke suragh mein ab tak

go KHizan ka bhi daur-daura hai

phul khilte hain bagh mein ab tak

roz-o-shab mare mare phirte hain

hum talash-e-faragh mein ab tak

ye bhi bujh jaegi kabhi 'najmi'

raushni hai charagh mein ab tak

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soz Hai Dil Ke Dagh Mein Ab Tak In English By Famous Poet Amjad Najmi. Soz Hai Dil Ke Dagh Mein Ab Tak is written by Amjad Najmi. Read famous Poem Soz Hai Dil Ke Dagh Mein Ab Tak for youth and Student by Amjad Najmi. Free Download Soz Hai Dil Ke Dagh Mein Ab Tak in PDF.