Nahin Kuchh Intiha Afsurdagi Ki
nahin kuchh intiha afsurdagi ki
yahi hai rasm shayad aashiqi ki
lab-e-lalin pe ye lahren hansi ki
yahi Dube na kashti zindagi ki
Dhale aansu ki ye TuTe sitare
sukut shab mein yaad aai kisi ki
chaman mein buTa buTa dekhta hai
adaen in ki mastana rawi ki
baDhae ja qadam zauq talab mein
shikayat kar na ijz-o-KHastagi ki
isi ka nam shayad zindagi hai
KHushi ki ek ghaDi to ek ghami ki
sukun-e-sahil-e-dariya ka arman
karo baaten na ye kam-himmati ki
mila kar aankh phir aankhen churana
ada-e-KHas hai ye dilbari ki
ata ho to ata ho dard aisa
ho lazzat jis mein soz-e-daimi ki
abhi hai nur-o-zulmat ki kashakash
abhi hai dur manzil aagahi ki
hayat-e-chand-roza apni 'najmi'
hai taswir-e-mujassam bebasi ki
(794) Peoples Rate This