Na Kuchh Aalim Samajhte Hain Na Kuchh Jahil Samajhte Hain
na kuchh aalim samajhte hain na kuchh jahil samajhte hain
mohabbat ki haqiqat ko bas ahl-e-dil samajhte hain
nishan-e-manzil-e-maqsud pa kar bhi na jo Thahre
usi rahraw ko hum aasuda-e-manzil samajhte hain
tere sahra-nawardon ka mazaq-e-justuju tauba
ghubar-e-rah ko ye parda-e-mahmil samajhte hain
tumhin se hai ye nur-e-shama aur ye soz-e-parwana
tumhin ko ahl-e-mahfil raunaq-e-mahfil samajhte hain
na duniya bais-e-ghaflat na uqba wajh-e-hushyari
rahe jo tujh se ghafil hum use ghafil samajhte hain
yahan to qabil-e-afsos hain dushwariyan un ki
tumhaari rah mein mushkil ko jo mushkil samajhte hain
unhin ko tere tir-e-nim-kash ka lutf aata hai
na sine ko jo sina aur na dil ko dil samajhte hain
gul-e-maqsud se phir kyun use wo bhar nahin dete
mere daman ko jab wo kasa-e-sail samajhte hain
koi samjhe na samjhe is haqiqat ko magar 'najmi'
hum apne dard-e-dil ko ishq ka hasil samajhte hain
(818) Peoples Rate This