Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9dc00a62862790227441faaa22be9cae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitna MuKHtasar Hai Ye Zindagi Ka Afsana - Amjad Najmi Poetry In English - Darsaal

Kitna MuKHtasar Hai Ye Zindagi Ka Afsana

kitna muKHtasar hai ye zindagi ka afsana

ek gam-e-mardana ek raqs-e-mastana

tu hi ek shaki hai zauq-e-tishna-kaami ka

gharq-e-mauj-e-sahba hai jabki sara mai-KHana

bas yahi hai le de ke duri-e-rah-e-manzil

do qadam dilerana do qadam shitabana

haq tujhe hai kya hasil zer-e-charKH jine ka

hadsat-e-alam se tu agar hai begana

dil nahin wo sine mein ek sang-e-KHara hai

ho na jis mein poshida aah-e-dard-mandana

ye bhi ek dhoka hai dida-e-ghalat-bin ka

warna kaun diwana aur kaun farzana

gah gah laDta rah aql-e-maslahat-bin se

gah gah leta ja hath mein bhi paimana

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitna MuKHtasar Hai Ye Zindagi Ka Afsana In English By Famous Poet Amjad Najmi. Kitna MuKHtasar Hai Ye Zindagi Ka Afsana is written by Amjad Najmi. Read famous Poem Kitna MuKHtasar Hai Ye Zindagi Ka Afsana for youth and Student by Amjad Najmi. Free Download Kitna MuKHtasar Hai Ye Zindagi Ka Afsana in PDF.