Jo Puchhte Hain Ki Ye Ishq-o-ashiqi Kya Hai
jo puchhte hain ki ye ishq-o-ashiqi kya hai
wo jaante nahin maqsud-e-zindagi kya hai
zamir-e-pak KHayal-e-buland zauq-e-latif
bas aur is ke siwa jauhar-e-KHudi kya hai
wafa ki aaD mein kya kya hui jafa hum par
jo dosti yahi Thahri to dushmani kya hai
baja hai fart-e-junun ne hamein kiya ruswa
jamal-e-yar mein aaKHir ye dilkashi kya hai
wufur-e-shauq ki mayusiyan are tauba
dil-e-tabah mein ab aarzu rahi kya hai
agar na jurm-e-mohabbat ki ye saza hoti
to baat baat pe hum se ye be-ruKHi kya hai
na samjho tum meri arz-e-niyaz ko shikwa
main jaanta hun taqaza-e-bandagi kya hai
ata kiya tha jo zauq-e-numud us dil ko
to har qadam pe ye rang-e-shikastagi kya hai
gurez kya main karun naseho ki sohbat se
jahan na kuchh ho ye sohbat wahan buri kya hai
wafa se aur na tark-e-wafa se aap hain KHush
mujhe bataiye phir aap ki KHushi kya hai
fareb-e-hasti-e-mauhum kha raha hun hanuz
mujhe KHabar hai haqiqat yahan meri kya hai
jo gamzan hain sar-e-jada-e-talab 'najmi'
wo jaante nahin duniya mein bebasi kya hai
(1035) Peoples Rate This