Aashufta-nawai Se Apni Duniya Ko Jagata Jata Hun
aashufta-nawai se apni duniya ko jagata jata hun
diwana hun diwanon ko main hosh mein lata jata hun
ummid ki shamen rah rah kar main dil mein jalata jata hun
jab jal chukti hain ye shamen phir sab ko bujhata jata hun
tum dekh rahe ho maiKHane mein jurat-e-rindana meri
main KHud bhi pita jata hun tum ko bhi pilata jata hun
takmil-e-mohabbat karta hun kuchh garmi se kuchh narmi se
aahen bhi bharta jata hun aansu bhi bahata jata hun
be-kar sahi nale mere be-sud sahi aahen meri
main un ki nigahon mein lekin phir bhi to samata jata hun
han saz-e-shikasta mein mere naghmon ka talatum pinhan hai
shorida-nawai se apni mahfil par chhata jata hun
main sai-e-musalsal kar ke bhi manzil se koson dur raha
manzil na mili to kya hai magar apne ko pata jata hun
ummid-e-wafa ke pesh-e-nazar main un ki jafaen bhul gaya
hai mustaqbil par aankh meri mazi ko bhulata jata hun
qudrat bhi muhayya karti hai ab mere liye ibrat ke sabaq
har gam pe Thokar khata hun aur hosh mein aata jata hun
'najmi' ye KHamoshi bhi meri kuchh wajh-e-sukun-e-dil na hui
main zabt-e-fughan se dard ko apne aur baDhata jata hun
(811) Peoples Rate This