Zara Si Baat
zindagi ke maile mein KHwahishon ke rele mein
tum se kya kahen jaanan is qadar jhamele mein
waqt ki rawani hai baKHt ki girani hai
saKHt be-zamini hai saKHt la-makani hai
hijr ke samundar mein
taKHt aur taKHte ki ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umr-bhar ki hai
umr-bhar ki baaten kab do-ghaDi mein hoti hain
dard ke samundar mein
an-ginat jazire hain be-shumar moti hain
aankh ke dariche mein tum ne jo sajaya tha
baat us diye ki hai
baat us gile ki hai
jo lahu ki KHalwat mein chor ban ke aata hai
lafz ki fasilon par TuT TuT jata hai
zindagi se lambi hai baat ratjage ki hai
raste mein kaise ho
baat taKHliye ki hai
taKHliye ki baaton mein guftugu izafi hai
pyar karne walon ko ek nigah kafi hai
ho sake to sun jao ek rose akele mein
tum se kya kahen jaanan is qadar jhamele hain
(5708) Peoples Rate This