Shikast-e-ana
aaj ki raat bahut sard bahut kali hai
tirgi aise lipaTti hai hawa-e-gham se
apne bichhDe hue sajan se mili hai jaise
mishal-e-KHwab kuchh is taur bujhi hai jaise
dard ne jagti aankhon ki chamak kha li hai
shauq ka nam na KHwahish ka nishan hai koi
barf ki sil ne mere dil ki jagah pa li hai
ab dhundalke bhi nahin zinat-e-chashm-e-be-KHwab
aas ka rup-mahl dast-e-tahi hai jaise
bahr-e-imkan pe kai si jami hai jaise
aise lagta hai ki jaise mera mamura-e-jaan
kisi sailab-zada ghar ki zabun-haali hai
na koi dost na tara ki jise batlaun
is tarah TuT ke bikhra hai ana ka shisha
mera pindar mere dil ke liye gali hai
nabz taron ki tarah Dub rahi hai jaise!
gham ki pinhai samundar se baDi hai jaise!
aankh sahraon ke daman ki tarah KHali hai
wahshat-e-jaan ki taraf dekh ke yun lagta hai
maut is tarah ke jine se bhali hai jaise
tirgi chhaTne lagi, waqt rukega kyun-kar
subh-e-KHurshid liye dar pe khaDi hai jaise
dagh-e-ruswai chhupane se nahin chhup sakta
ye to yun hai ki jabin bol rahi hai jaise!
(1260) Peoples Rate This