Self Made Logon Ka Alamiya
self made logon ka alamiya
raushni mizajon ka kya ajab muqaddar hai
zindagi ke raste mein bichhne wale kanTon ko
rah se haTane mein
ek ek tinke se aashiyan banane mein
KHushbuen pakaDne mein gulistan sajaane mein
umr kaT dete hain
umr kaT dete hain
aur apne hisse ke phul banT dete hain
kaisi kaisi KHwahish ko qatl karte jate hain
darguzar ke gulshan mein abr ban ke rahte hain
sabr ke samundar mein kashtiyan chalate hain
ye nahin ki un ko is roz-o-shab ki kahish ka
kuchh sila nahin milta
marne wali aason ka KHun-baha nahin milta
zindagi ke daman mein jis qadar bhi KHushiyan hain
sab hi hath aati hain
sab hi mil bhi jati hain
waqt par nahin miltin waqt par nahin aatin
yani un ko mehnat ka ajr mil to jata hai
lekin is tarah jaise
qarz ki raqam koi qist qist ho jae
asl jo ibarat ho pas nawisht ho jae
fasl-e-gul ke aaKHir mein phul un ke khulte hain
un ke sahn mein suraj der mein nikalte hain
(1535) Peoples Rate This