Mohabbat Ki Ek Nazm
mohabbat ki ek nazm
agar kabhi meri yaad aae
to chand raaton ki narm dil-gir raushni mein
kisi sitare ko dekh lena
agar wo naKHl-e-falak se uD kar
tumhaare qadmon mein aa gire
to ye jaan lena wo istiara tha mere dil ka
agar na aae
magar ye mumkin hi kis tarah hai
ki tum kisi par nigah Dalo
to us ki diwar-e-jaan na TuTe
wo apni hasti na bhul jae
agar kabhi meri yaad aae
gurez karti hawa ki lahron pe hath rakhna
main KHushbuon mein tumhein milunga
mujhe gulabon ki pattiyon mein talash karna
main os-qatron ke aainon mein tumhein milunga
agar sitaron mein os-qatron mein KHushbuon mein na pao mujh ko
to apne qadmon mein dekh lena main gard hoti masafaton mein tumhein milunga
kahin pe raushan charagh dekho
to jaan lena ki har patange ke sath main bhi bikhar chuka hun
tum apni hathon se un patangon ki KHak dariya mein Dal dena
main KHak ban kar samundaron mein safar karunga
kisi na dekhe hue jazire pe
ruk ke tum ko sadaen dunga
samundaron ke safar pe niklo
to us jazire pe bhi utarna
(4159) Peoples Rate This