Ek Aur Mashwara
bastiyan hon kaisi bhi pastiyan hon jaisi bhi
har tarah ki zulmat ko raushni kaha jae
KHak Dalen manzil par bhul jaen sahil ko
ruKH jidhar ho pani ka us taraf baha jae
mulk bech Dalen ya aabru rakhen girwi
jaisa hukm-e-hakim ho us tarah kiya jae
shor mein sadaon ke ajnabi hawaon ke
kaun sunne wala hai? kis se ab kaha jae!
guftugu pe pahre hain har taraf kaTahre hain
raste muayyan hain har qadam pe likkha hai
kis jagah pe rukna hai! kis taraf chala jae
dil ki baat kahne ka ek yahi tariqa hai
chhup ke sari duniya se ab gharon ke konon mein
aap hi suna jae aap hi kaha jae
(1233) Peoples Rate This