Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e14c604e41d678d2373b40ef5df636ff, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chashm-e-be-KHwab Ko Saman Bahut - Amjad Islam Amjad Poetry In English - Darsaal

Chashm-e-be-KHwab Ko Saman Bahut

chashm-e-be-KHwab ko saman bahut!

raat-bhar shahr ki galiyon mein hawa

hath mein sang liye

KHauf se zard makanon ke dhaDakte dil par

dastaken deti chali jati hai

raushni band kiwaDon se nikalte hue ghabraati hai

har taraf chiKH si chakraati hai

hain mere dil ke liye dard ke unwan bahut

dard ka nam samaat ke liye rahat-e-jaan

dast-e-be-maya ko zar

nutq-e-KHamosh ko lafz

KHwab-e-be-dar ko makan

dard ka nam mere shahr-e-KHwahish ka nishan

manzil-e-reg-e-rawan

dard ki rah pe taskin ke imkan bahut!

hijr ka dard kaThin hai phir bhi

wo bhi us roz bichhaD kar mujh se

KHush to na thi

us ne ye manzil-e-gham

kis tarah kaTi hogi

wo bhi to meri tarah hogi pareshan bahut

(dard ki rah mein taskin ke saman bahut)

kya KHabar us ki samaat ke liye

dard ka nam bhala ho ki na ho

shahr-e-KHwahish ka nishan

nutq-e-KHamosh ka izhaar hua ho ki na ho

dast-e-be-maya ka zar (wo tahi-dast na thi)

hijr ka dard bana ho ki na ho

us ki galiyon mein rawan dastaken deti hui surKH hawa ho ki na ho

ishq-e-nau-KHez ke arman bahut

shauq-e-gul-rang ke raste mein bayaban bahut

soKHta-jaan bahut

chashm-e-be-KHwab ko saman bahut

(1181) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-be-KHwab Ko Saman Bahut In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Chashm-e-be-KHwab Ko Saman Bahut is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Chashm-e-be-KHwab Ko Saman Bahut for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Chashm-e-be-KHwab Ko Saman Bahut in PDF.