AaKHiri Bosa
mere honTon pe us ke aaKHiri bose ki lazzat sabt hai
wo us ka aaKHiri bosa
jo mustaqbil ke har ek KHauf se aazad
ek raushan sitara tha
guzarti raat ke nange badan par til ki surat qaem-o-daem
hamesha jagne wala sitara
main jise is aag barsate hue suraj ke aage
jagmagata dekh sakta hun
wo us ka aaKHiri bosa
jo is nafrat-bhari duniya mein
ek KHushbu ka jhonka tha
bikharti pattiyon mein mausam-e-gul ke ishaare ki tarah
ek Dolti KHushbu ka jhonka
main jise is habs ke kale qafas ki tiliyon se muskuraata dekh sakta hun
wo us ka aaKHiri bosa
jo in marti hui sadiyon mein
ek be-ant lamha tha
talatum mein kisi sahil ki pahli did sa
anmol aur be-ant lamha
mein jise ashkon ki is diwar mein
raKHne banata dekh sakta hun
mere honTon pe us ke aaKHiri bose ki lazzat sabt hai
wo us ka aaKHiri bosa jo main apne badan mein
sans-surat aata jata dekh sakta hun
lahu ki KHamushi mein sarsaraata dekh sakta hun
(1008) Peoples Rate This