Ye Jo Hasil Hamein Har Shai Ki Farawani Hai
ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai
ye bhi to apni jagah ek pareshani hai
zindagi ka hi nahin Thor-Thikana malum
maut to tai hai ki kis waqt kahan aani hai
koi karta hi nahin zikr wafadari ka
in dinon ishq mein aasani hi aasani hai
kab ye socha tha kabhi dost ki yun bhi hoga
teri surat teri aawaz se pahchani hai
chain lene hi nahin deti kisi pal mujh ko
roz-e-awwal se mere sath jo hairani hai
ye bhi mumkin hai ki aabaadi ho is se aage
ye jo ta-hadd-e-nazar phailti virani hai
kyun sitare hain kahin aur kahin aansu hain
aankh walon ne yahi ramz nahin jaani hai
taKHt se taKHta bahut dur nahin hota hai
bas yahi baat hamein aap ko batlani hai
dost ki bazm hi wo bazm hai 'amjad' ki jahan
aql ko sath mein rakhna baDi nadani hai
(1368) Peoples Rate This