Ye Gard-baad-e-tamana Mein Ghumte Hue Din
ye gard-baad-e-tamana mein ghumte hue din
kahan pe ja ke rukenge ye bhagte hue din
ghurub hote gae raat ke andheron mein
nawed-e-amn ke suraj ko DhunDte hue din
na jaane kaun KHala ke ye istiare hain
tumhaare hijr ki galiyon mein gunjte hue din
na aap chalte na dete hain rasta hum ko
thaki thaki si ye shamen ye unghte hue din
phir aaj kaise kaTegi pahaD jaisi raat
guzar gaya hai yahi baat sochte hue din
tamam umr mere sath sath chalte rahe
tumhin ko DhunDte tum ko pukarte hue din
har ek raat jo tamir phir se hoti hai
kaTega phir wahi diwar chaTte hue din
mere qarib se guzre hain bar-ha 'amjad'
kisi ke wasl ke wade ko dekhte hue din
(1026) Peoples Rate This