Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_493af4126db12e245c980a3b42a4775b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Aur Baat Hai Tujhse Gila Nahin Karte - Amjad Islam Amjad Poetry In English - Darsaal

Ye Aur Baat Hai Tujhse Gila Nahin Karte

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte

jo zaKHm tu ne diye hain bhara nahin karte

hazar jal liye ghumti phire duniya

tere asir kisi ke hua nahin karte

ye aainon ki tarah dekh-bhaal chahte hain

ki dil bhi TuTen to phir se juDa nahin karte

wafa ki aanch suKHan ka tapak do in ko

dilon ke chaak rafu se sila nahin karte

jahan ho pyar ghalat-fahmiyan bhi hoti hain

so baat baat pe yun dil bura nahin karte

hamein hamari anaen tabah kar dengi

mukalme ka agar silsila nahin karte

jo hum pe guzri hai jaanan wo tum pe bhi guzre

jo dil bhi chahe to aisi dua nahin karte

har ek dua ke muqaddar mein kab huzuri hai

tamam ghunche to 'amjad' khila nahin karte

(2460) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Baat Hai Tujhse Gila Nahin Karte In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Ye Aur Baat Hai Tujhse Gila Nahin Karte is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Ye Aur Baat Hai Tujhse Gila Nahin Karte for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Ye Aur Baat Hai Tujhse Gila Nahin Karte in PDF.