Yaad Ke Sahra Mein Kuchh To Zindagi Aae Nazar
yaad ke sahra mein kuchh to zindagi aae nazar
sochta hun ab bana lun ret se hi koi ghar
kis qadar yaaden ubhar aai hain tere nam se
ek patthar phenkne se paD gae kitne bhanwar
waqt ke andhe kunen mein pal rahi hai zindagi
ai mere husn-e-taKHyyul baam se niche utar
tu asir-e-abru-e-shewa-e-pindar-e-husn
main giraftar-e-nigah-e-zindagi-e-muKHtasar
zabt ke qarye mein 'amjad' dekhiye kaise kaTe
soch ki suni saDak par yaad ka lamba safar
(1029) Peoples Rate This