Tumhaara Hath Jab Mere Larazte Hath Se ChhuTa KHizan Ke AaKHiri Din The
tumhaara hath jab mere larazte hath se chhuTa KHizan ke aaKHiri din the
wo mohkam be-lachak wada khilaune ki tarah TuTa KHizan ke aaKHiri din the
bahaar aai na thi lekin hawaon mein nae mausam ki KHushbu raqs karti thi
achanak jab kaha tum ne mere munh par mujhe jhuTa KHizan ke aaKHiri din the
wo kya din the yahin hum ne bahaaron ki dua ki thi kisi ne bhi nahin socha
chaman walon ne mil kar jab KHud apna hi chaman luTa KHizan ke aaKHiri din the
likha tha ek taKHti par koi bhi phul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi
so jab wo bagh se guzri koi ukhDa koi TuTa KHizan ke aaKHiri din the
bahut hi zor se piTe hawa ke bain par sine hamare KHair-KHwahon ne
ki chandi ke waraq jaisa samay ne jab hamein kuTa KHizan ke aaKHiri din the
na rut thi aandhiyon ki ye na mausam tha hawaon ka to phir ye kya hua 'amjad'
har ek konpal hui zaKHmi hua majruh har buTa KHizan ke aaKHiri din the
(1483) Peoples Rate This