The KHwab Ek Hamare Bhi Aur Tumhaare Bhi
the KHwab ek hamare bhi aur tumhaare bhi
par apna khel dikhate rahe sitare bhi
ye zindagi hai yahan is tarah hi hota hai
sabhi ne bojh se lade hain kuchh utare bhi
sawal ye hai ki aapas mein hum milen kaise
hamesha sath to chalte hain do kinare bhi
kisi ka apna mohabbat mein kuchh nahin hota
ki mushtarak hain yahan sud bhi KHasare bhi
bigaD par hai jo tanqid sab baja lekin
tumhaare hisse ke jo kaam the sanware bhi
baDe sukun se Dube the Dubne wale
jo sahilon pe khaDe the bahut pukare bhi
pa jaise rail mein do ajnabi musafir hon
safar mein sath rahe yun to hum tumhaare bhi
yahi sahi teri marzi samajh na pae hum
KHuda gawah ki mubham the kuchh ishaare bhi
yahi to ek hawala hai mere hone ka
yahi giraati hai mujh ko yahi utare bhi
isi zamin mein ek din mujhe bhi sona hai
isi zamin ki amanat hain mere pyare bhi
wo ab jo dekh ke pahchante nahin 'amjad'
hai kal ki baat ye lagte the kuchh hamare bhi
(1327) Peoples Rate This