Tashhir Apne Dard Ki Har Su Karaiye
tashhir apne dard ki har su karaiye
ji chahta hai minnat-e-tiflan uThaiye
KHushbu ka hath tham ke kije talash-e-rang
panw ke naqsh dekh ke rasta banaiye
phir aaj pattharon se mulaqat kijiye
phir aaj sath-e-ab pe chehre banaiye
har inkishaf dard ke parde mein aaega
gar ho sake to KHud se bhi KHud ko chhupae
phulon ka rasta nahin yaro mera safar
panw aziz hain to abhi luT jaiye
kab tak hina ke nam pe dete rahen lahu
kab tak nigar-e-dard ko dulhan banaiye
'amjad' mata-e-umr zara dekh-bhaal ke
aisa na ho ki baad mein aansu bahaiye
(1028) Peoples Rate This