Sham Dhale Jab Basti Wale LauT Ke Ghar Ko Aate Hain
sham Dhale jab basti wale lauT ke ghar ko aate hain
aahaT aahaT dastak dastak kya kya hum ghabraate hain
ahl-e-junun to dil ki sada par jaan se apni ja bhi chuke
ahl-e-KHirad ab jaane hum ko kya samjhane aate hain
jaise rail ki har khiDki ki apni apni duniya hai
kuchh manzar to ban nahin pate kuchh pichhe rah jate hain
jis ki har ek inT mein jazb hain un ke apne hi aansu
wae ki ab wo ahl-e-dua hi is mehrab ko Dhate hain
aaj ki shab to kaT hi chali hai KHwabon aur sarabon mein
aane wale din ab dekhen kya manzar dikhlate hain
sari umr hi dil se apna aisa kuchh bartao raha
jaise khel mein haarne wale bachche ko bahlate hain
na-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-wafa hi kar sakte hain
pani aur hawa par dekho kya kya naqsh banate hain
(1260) Peoples Rate This