SainkaDon Hi Rahnuma Hain Rasta Koi Nahin
sainkaDon hi rahnuma hain rasta koi nahin
aaine chaaron taraf hain dekhta koi nahin
sab ke sab hain apne apne daere ki qaid mein
daeron ki had se bahar sochta koi nahin
sirf matam aur zari se hi jis ka hal mile
is tarah ka to kahin bhi masala koi nahin
ye jo sae se bhaTakte hain hamare ird-gird
chhu ke un ko dekhiye to wahima koi nahin
jo hua ye darj tha pahle hi apne baKHt mein
is ka matlab to hua ki bewafa koi nahin
tere raste mein khaDe hain sirf tujh ko dekhne
muddaa puchho to apna muddaa koi nahin
kun-fakan ke bhed se maula mujhe aagah kar
kaun hun main gar yahan par dusra koi nahin
waqt aisa ham-safar hai jis ki manzil hai alag
wo sarae hai ki jis mein Thaharta koi nahin
gahe gahe hi sahi 'amjad' magar ye waqia
yun bhi lagta hai ki duniya ka KHuda koi nahin
(2732) Peoples Rate This