Sae Dhalne Charag Jalne Lage
sae Dhalne charag jalne lage
log apne gharon ko chalne lage
itni pur-pech hai bhanwar ki girah
jaise nafrat dilon mein palne lage
dur hone lagi jaras ki sada
karwan raste badalne lage
us ke lahje mein barf thi lekin
chhu ke dekha to hath jalne lage
us ke band-e-qaba ke jadu se
sanp se ungliyon mein chalne lage
rah-e-gum-karda taeron ki tarah
phir sitare safar pe chalne lage
phir nigahon mein dhul uDti hai
aks phir aaine badalne lage
(1221) Peoples Rate This