Sadiyan Jin Mein Zinda Hon Wo Sach Bhi Marne Lagte Hain
sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain
dhup aankhon tak aa jae to KHwab bikharne lagte hain
insanon ke rup mein jis dam sae bhaTken saDkon par
KHwabon se dil chehron se aaine Darne lagte hain
kya ho jata hai in hanste jite jagte logon ko
baiThe baiThe kyun ye KHud se baaten karne lagte hain
ishq ki apni hi rasmen hain dost ki KHatir hathon mein
jitne wale patte bhi hon phir bhi harne lagte hain
dekhe hue wo sare manzar nae nae dikhlai den
Dhalti umr ki siDhi se jab log utarne lagte hain
bedari aasan nahin hai aankhen khulte hi 'amjad'
qadam qadam hum sapnon ke jurmane bharne lagte hain
(1126) Peoples Rate This