Raat Main Is Kashmakash Mein Ek Pal Soya Nahin
raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin
kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin
yun agar sochun to ek ek naqsh hai sine pe naqsh
hae wo chehra ki phir bhi aankh mein banta nahin
kyun uDati phir rahi hai dar-ba-dar mujh ko hawa
main agar ek shaKH se TuTa hua patta nahin
aaj tanha hun to kitna ajnabi mahaul hai
ek bhi raste ne tere shahr mein roka nahin
harf barg-e-KHushk ban kar TuTte girte rahe
ghuncha-e-arz-e-tamanna honT par phuTa nahin
dard ka rasta hai ya hai saat-e-roz-e-hisab
saikaDon logon ko roka ek bhi Thahra nahin
shabnami aankhon ke jugnu kanpte honTon ke phul
ek lamha tha jo 'amjad' aaj tak guzra nahin
(1199) Peoples Rate This