Parde Mein Is Badan Ke Chhupen Raaz Kis Tarah
parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah
KHushbu na hogi phul ki ghammaz kis tarah
tarz-e-kalam un ka hua tarz-e-KHas-o-am
badlenge ab wo baat ka andaz kis tarah
badla jo us ki aankh ka andaz to khula
karte hain rang phul se parwaz kis tarah
aankhon mein kaise tan gai diwar-e-be-hisi
sinon mein ghuT ke rah gai aawaz kis tarah
wo haq-parast kaise hue maslahat-parast
naghmon se be-libas hue saz kis tarah
aankhon mein mom Dal ke baiThenge kab talak
aainon se chhupaenge ye raaz kis tarah
us ki nazar mein aks-e-talluq kahin nahin
'amjad' hadis-e-shauq ho aaghaz kis tarah
(1145) Peoples Rate This