Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6534b357c9df4473a24a03c29a5ad1c2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Palkon Ki Dahliz Pe Chamka Ek Sitara Tha - Amjad Islam Amjad Poetry In English - Darsaal

Palkon Ki Dahliz Pe Chamka Ek Sitara Tha

palkon ki dahliz pe chamka ek sitara tha

sahil ki is bhiD mein jaane kaun hamara tha

kohsaron ki gunj ki surat phail gaya hai wo

main ne apne-ap mein chhup kar jise pukara tha

sar se guzarti har ek mauj ko aise dekhte hain

jaise is girdab-e-fana mein yahi sahaara tha

hijr ki shab wo nili aankhen aur bhi nili thin

jaise us ne apne sar se bojh utara tha

jis ki jhilmilta mein tum ne mujh ko qatl kiya

patjhaD ki us raat wo sab se raushan tara tha

tark-e-wafa ke baad mila to jab malum hua

is mein kitne rang the us ke kaun hamara tha

kaun kahan par jhuTa nikla kya batlate hum

duniya ki tafrih thi is mein hamein KHasara tha

jo manzil bhi rah mein aai dil ka bojh bani

wo us ki tabir na thi jo KHwab hamara tha

ye kaisi aawaz hai jis ki zinda gunj hun main

subh-e-azal mein kis ne 'amjad' mujhe pukara tha

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Palkon Ki Dahliz Pe Chamka Ek Sitara Tha In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Palkon Ki Dahliz Pe Chamka Ek Sitara Tha is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Palkon Ki Dahliz Pe Chamka Ek Sitara Tha for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Palkon Ki Dahliz Pe Chamka Ek Sitara Tha in PDF.