Nikal Ke Halqa-e-sham-o-sahar Se Jaen Kahin
nikal ke halqa-e-sham-o-sahar se jaen kahin
zamin ke sath na mil jaen ye KHalaen kahin
safar ki raat hai pichhli kahaniyan na kaho
ruton ke sath palaTti hain kab hawaen kahin
faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya
mujhe talash na karti hon ye balaen kahin
hawa hai tez charagh-e-wafa ka zikr to kya
tanaben KHema-e-jaan ki na TuT jaen kahin
main os ban ke gul-e-harf par chamakta hun
nikalne wala hai suraj mujhe chhupaen kahin
mere wajud pe utri hain lafz ki surat
bhaTak rahi thin KHalaon mein ye sadaen kahin
hawa ka lams hai panw mein beDiyon ki tarah
shafaq ki aanch se aankhen pighal na jaen kahin
ruka hua hai sitaron ka karwan 'amjad'
charagh apne lahu se hi ab jalaen kahin
(1023) Peoples Rate This