Lahu Mein Rang Lahrane Lage Hain
lahu mein rang lahrane lage hain
zamane KHud ko dohrane lage hain
paron mein le ke be-hasil uDanen
parinde lauT kar aane lage hain
kahan hai qafila baad-e-saba ka
dilon ke phul murjhane lage hain
khule jo ham-nashinon ke gareban
KHud apne zaKHm afsane lage hain
kuchh aisa dard tha bang-e-jaras mein
safar se qabl pachhtane lage hain
kuchh aisi be-yaqini thi faza mein
jo apne the wo begane lage hain
hawa ka rang nila ho raha hai
chaman mein sanp lahrane lage hain
falak ke khet mein khilte sitare
zamin par aag barsane lage hain
lab-e-zanjir hai tabir jin ki
wo sapne phir nazar aane lage hain
khula hai raat ka tarik jangal
aur andhe rah dikhlane lage hain
chaman ki baD thi jin ka Thikana
dil shabnam ko dhaDkane lage hain
bachane aae the diwar lekin
imarat hi ko ab Dhane lage hain
KHuda ka ghar tumhin samjho to samjho
hamein to ye sanam-KHane lage hain
(912) Peoples Rate This