Kitni Sarkash Bhi Ho Sar-phiri Ye Hawa Rakhna Raushan Diya
kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya
raat jab tak rahe ai mere ham-nawa rakhna raushan diya
raushni ka wazifa nahin wo chale rasta dekh kar
wo to aazad hai misl-e-mauj-e-saba rakhna raushan diya
raat kaisi bhi ho KHauf ke chor ki ghat kaisi bhi ho
apni ummid ka apne wishwas ka rakhna raushan diya
shab ki be-ant zulmat se laD sakti hai ek nannhi si lau
rah bhule huon ko hai bang-e-dara rakhna raushan diya
aashna ki sada ghup-andhere mein ban jati hai raushni
is shab-e-tar mein apni aawaz ka rakhna raushan diya
raushni ki shariat mein roz-e-azal se yahi darj hai
jot se jot jalti rahegi sada rakhna raushan diya
mujh se 'amjad' kaha jhilmilate hue aKHtar-e-sham ne
us ko aana hi hai wo zarur aaega rakhna raushan diya
(1000) Peoples Rate This