Kisi Ki Aankh Mein KHud Ko Talash Karna Hai
kisi ki aankh mein KHud ko talash karna hai
phir us ke baad hamein aainon se Darna hai
falak ki band gali ke faqir hain tare!
ki ghum phir ke yahin se unhen guzarna hai
jo zindagi thi meri jaan! tere sath gai
bas ab to umr ke naqshe mein waqt bharna hai
jo tum chalo to abhi do qadam mein kaT jae
jo fasla mujhe sadiyon mein par karna hai
to kyun na aaj yahin par qayam ho jae
ki shab qarib hai aaKHir kahin Thaharna hai
wo mera sail-e-talab ho ki teri ranai
chaDha hai jo bhi samundar use utarna hai
sahar hui to sitaron ne mund lin aankhen
wo kya karen ki jinhen intizar karna hai
ye KHwab hai ki haqiqat KHabar nahin 'amjad'
magar hai jina yahin par yahin pe marna hai
(1573) Peoples Rate This