Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9c6upqv9rvc6m3euh63m5t7t47, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kamal-e-husn Hai Husn-e-kamal Se Bahar - Amjad Islam Amjad Poetry In English - Darsaal

Kamal-e-husn Hai Husn-e-kamal Se Bahar

kamal-e-husn hai husn-e-kamal se bahar

azal ka rang hai jaise misal se bahar

to phir wo kaun hai jo mawara hai har shai se

nahin hai kuchh bhi yahan gar KHayal se bahar

ye kaenat sarapa jawab hai jis ka

wo ek sawal hai phir bhi sawal se bahar

hai yaad ahl-e-watan yun ki reg-e-sahil par

giri hui koi machhli ho jal se bahar

ajib silsila-e-rang hai tamanna bhi

had-e-uruj se aage zawal hai bahar

na us ka ant hai koi na istiara hai

ye dastan hai hijr-o-visal se bahar

dua buzurgon ki rakhti hai zaKHm ulfat ko

kisi ilaj kisi indimal se bahar

bayan ho kis tarah wo kaifiyat ki hai 'amjad'

meri talab se farawan majal se bahar

(1147) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kamal-e-husn Hai Husn-e-kamal Se Bahar In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Kamal-e-husn Hai Husn-e-kamal Se Bahar is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Kamal-e-husn Hai Husn-e-kamal Se Bahar for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Kamal-e-husn Hai Husn-e-kamal Se Bahar in PDF.