Kab Se Hum Log Is Bhanwar Mein Hain
kab se hum log is bhanwar mein hain
apne ghar mein hain ya safar mein hain
yun to uDne ko aasman hain bahut
hum hi aashob-e-baal-o-par mein hain
zindagi ke tamam-tar raste
maut hi ke azim Dar mein hain
itne KHadshe nahin hain raston mein
jis qadar KHwahish-e-safar mein hain
sip aur jauhari ke sab rishte
sher aur sher ke hunar mein hain
saya-e-rahat-e-shajar se nikal
kuchh uDanen jo baal-o-par mein hain
aks be-naqsh ho gae 'amjad'
log phir aainon ke Dar mein hain
(1080) Peoples Rate This