Jab Bhi Us ShaKHs Ko Dekha Jae
jab bhi us shaKHs ko dekha jae
kuchh kaha jae na socha jae
dida-e-kor hai qarya qarya
aaina kis ko dikhaya jae
daman-e-ahd-e-wafa kya tha main
dil hi hathon se jo nikla jae
dard-mandon se taghaful kab tak
us ko ehsas dilaya jae
kya wo itna hi hasin lagta hai
is ko nazdik se dekha jae
wo kabhi sur hai kabhi rang 'amjad'
us ko kis nam se DhunDa jae
(1025) Peoples Rate This