Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bc5186e28bc778fd8b0350de12d81536, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Bhi Aaankhon Mein Tere Wasl Ka Lamha Chamka - Amjad Islam Amjad Poetry In English - Darsaal

Jab Bhi Aaankhon Mein Tere Wasl Ka Lamha Chamka

jab bhi aaankhon mein tere wasl ka lamha chamka

chashm-e-be-ab ki dahliz pe dariya chamka

fasl-e-gul aai khule bagh mein KHushbu ke alam

dil ke sahil pe tere nam ka tara chamka

aks be-naqsh hue aaine dhundlane lage

dard ka chand sar-e-baam-e-tamanna chamka

rang aazad hue gul ki girah khulte hi

ek lamhe mein ajab bagh ka chehra chamka

pairahan mein bhi tera husn na tha hashr se kam

jab khule band-e-qaba aur hi naqsha chamka

dil ki diwar pe uDte rahe malbus ke rang

der tak un mein teri yaad ka saya chamka

ruh ki aankh chaka-chaund hui jati hai

kis ki aahaT ka mere kan mein naghma chamka

lahren uTh uTh ke magar us ka badan chumti thin

wo jo pani mein gaya KHub hi dariya chamka

hijr panpa na tera wasl hamein ras aaya

kisi maidan mein tara na hamara chamka

jaise barish se dhule sehn-e-gulistan 'ajmad'

aankh jab KHushk hui aur wo chehra chamka

(1112) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Aaankhon Mein Tere Wasl Ka Lamha Chamka In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Jab Bhi Aaankhon Mein Tere Wasl Ka Lamha Chamka is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Jab Bhi Aaankhon Mein Tere Wasl Ka Lamha Chamka for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Jab Bhi Aaankhon Mein Tere Wasl Ka Lamha Chamka in PDF.